Sunte Hi Dil Ho Gaya Us Yar Ka Asrar Mast
sunte hi dil ho gaya us yar ka asrar mast
hoshiyari kya kare jab dil ho sau sau bar mast
shohra-e-afaq us mah se ye hai maston ka haal
phenkte hain sar se apne KHak par dastar mast
sar-barahna be-sar-o-saman jo dil-afgar hain
bazm-e-mastan mein wahi mashhur hain sardar mast
be-KHudi diwangi mein is tarah sarshaar hain
bhulte hain aap ko ho kafir o din-dar mast
kab unhen dair-o-haram yaad aae hai ai zahido
ku-e-jaanan mein hazaron ho gae hoshyar mast
kaifiyat donon jahan ki hai wahan hasil tamam
jab nazar aawen kisi ja par kahin do-chaar mast
haal aa jae abhi sab sakinan-e-charKH ko
tu bhi ho jawe ai 'miskin' sun ke ye ashaar mast
(594) Peoples Rate This