Waqt Ke Zalim Samundar Mein Pareshani Ke Sath
waqt ke zalim samundar mein pareshani ke sath
Dub jata hai koi kyun itni aasani ke sath
meri sanson ki mahak ka bhi bahut charcha hua
raat jab main ne gizari raat ki rani ke sath
main wahi hun aur mera martaba mujh se buland
nam apna le raha hun main bhi hairani ke sath
main ne to kuchh aastin ke sanp ginwae the bas
tum ne kyun aankhen milai hain pashemani ke sath
karbala wale agar hain mohtaram to mohtaram
nosh mat jam-e-shahadat kijiye pani ke sath
ek tabassum ka bharam aabaad honTon par kiye
ji rahe hain log apni apni virani ke sath
mar gaya 'misdaq' bhi sultan-Tipu ki tarah
dekh kar hamraaz apna dushman-e-jaani ke sath
(744) Peoples Rate This