Ek Zarurat Hai Jo Tahwil Tak Aa Pahunchi Hai
ek zarurat hai jo tahwil tak aa pahunchi hai
har haqiqat yahan tamsil tak aa pahunchi hai
ab uKHuwwat pe bharosa nahin karti duniya
aagahi niyyat-e-qabil tak aa pahunchi hai
ai mere munis o gham-KHwar mujhe marne de
baat ab hukm ki tamil tak aa pahunchi hai
ab suKHan-war hi nahin KHud ko musawwir likhiye
shaeri ab fan-e-tashkil tak aa pahunchi hai
koshish-e-amn-o-aman mein hi yahan logon ki
zindagi shorish-e-tawil tak aa pahunchi hai
be-hisi dekhiye is daur ke insanon ki
jism kya ruh ki tahlil tak aa pahunchi hai
fikr-e-'misdaq' ne hai KHas masafat kar li
aap ki aankh bhi is jhil tak aa pahunchi hai
(602) Peoples Rate This