AahaTen Sun Kar Hi Mar Jati Hai Sahraon Ki KHak
aahaTen sun kar hi mar jati hai sahraon ki KHak
ab tere wahshi se Dar jati hai sahraon ki KHak
is junun-e-ishq ki Thokar mein aa jaane ke baad
aasmanon mein bikhar jati hai sahraon ki KHak
KHushnuma manzar bhi sab dhundhle nazar aate hain yar
jab dilon mein bhi utar jati hai sahraon ki KHak
kaun KHema-zan kahan hai aaie DhunDen yahan
pal mein sab kuchh KHak kar jati hai sahraon ki KHak
ungliyan teri pakaD kar sun le ai baad-e-saba
gulshanon mein bhi utar jati hai sahraon ki KHak
panw phailati hai ye sahra-nawardi jab meri
har taraf 'misdaq' bhar jati hai sahraon ki KHak
(596) Peoples Rate This