Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2068ec664989cb9b7f7f9e19f312315e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tera Aana Gar Ai Rashk-e-masiha Ho Nahin Sakta - Mirzaa Qurbaan Alii Beg Saalik Poetry In English - Darsaal

Tera Aana Gar Ai Rashk-e-masiha Ho Nahin Sakta

tera aana gar ai rashk-e-masiha ho nahin sakta

to bimar-e-mohabbat jaano achchha ho nahin sakta

tere kushte ko zinda sab karen ye ghair-mumkin hai

agar chahe har ek hona masiha ho nahin sakta

teri ulfat mein wo kushta hun gar isa bhi aa jae

wo zinda kar nahin sakta main zinda ho nahin sakta

main dil mein ru-ba-ru tere bahut kuchh soch aaya tha

magar haibat se izhaar-e-tamanna ho nahin sakta

jalao jitna ji chahe satao jitna ji chahe

karun shikwa kisi se tera aisa ho nahin sakta

hai tere wasl ki ummid par ye zindagi meri

bata do ho bhi sakta hai bhala ya ho nahin sakta

zamana chhoD de to chhoD de parwa nahin 'qurban'

mohabbat chhoD dun pyare ki aisa ho nahin sakta

(528) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tera Aana Gar Ai Rashk-e-masiha Ho Nahin Sakta In English By Famous Poet Mirzaa Qurbaan Alii Beg Saalik. Tera Aana Gar Ai Rashk-e-masiha Ho Nahin Sakta is written by Mirzaa Qurbaan Alii Beg Saalik. Read famous Poem Tera Aana Gar Ai Rashk-e-masiha Ho Nahin Sakta for youth and Student by Mirzaa Qurbaan Alii Beg Saalik. Free Download Tera Aana Gar Ai Rashk-e-masiha Ho Nahin Sakta in PDF.