Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_26f173775ba56395713c245c4e2fb8b2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Achchhi Nibhi Butan-e-sitam-ashna Ke Sath - Mirzaa Qurbaan Alii Beg Saalik Poetry In English - Darsaal

Achchhi Nibhi Butan-e-sitam-ashna Ke Sath

achchhi nibhi butan-e-sitam-ashna ke sath

ab baad-e-marg dekhiye kya ho KHuda ke sath

jab se wo sun chuke hain ki hum KHwab mein chale

nichi nigah bhi nahin karte haya ke sath

yun gumrahan-e-ishq hain rahzan ke sath KHush

goya ki ho liye hain kisi rahnuma ke sath

mangon dua-e-marg to aamin kahe adu

ab un ki bad-dua hai mere muddaa ke sath

yun kahte hain ki tujh ko satae hi jaenge

goya ki mujh ko ishq hai apni wafa ke sath

ghairon ne be-dili se meri pae muddaa

main gum hua na kyun dil-e-hasrat-faza ke sath

sharminda-e-butan na hue lakh lakh shukr

'salik' KHuda ne hum ko uThaya wafa ke sath

(537) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Achchhi Nibhi Butan-e-sitam-ashna Ke Sath In English By Famous Poet Mirzaa Qurbaan Alii Beg Saalik. Achchhi Nibhi Butan-e-sitam-ashna Ke Sath is written by Mirzaa Qurbaan Alii Beg Saalik. Read famous Poem Achchhi Nibhi Butan-e-sitam-ashna Ke Sath for youth and Student by Mirzaa Qurbaan Alii Beg Saalik. Free Download Achchhi Nibhi Butan-e-sitam-ashna Ke Sath in PDF.