Kahne Mein Nahin Hain Wo Hamare Kai Din Se

kahne mein nahin hain wo hamare kai din se

phirte hain unhen ghair ubhaare kai din se

jalwe nahin dekhe jo tumhaare kai din se

andhere hain nazdik hamare kai din se

be-subh nikalta nahin wo raat ko ghar se

KHurshid ke andaz hain sare kai din se

hum jaan gae aankh milao na milao

bigDe hue tewar hain tumhaare kai din se

kis chaak-e-gareban ka kiya aap ne matam

kapDe bhi nahin tum ne utare kai din se

diwana hai saudai hai farmate hain aksar

in namon se jate hain pukare kai din se

dil phans gaya hai aap ki zulfon mein hamara

hain banda-e-be-dam tumhaare kai din se

munh gal pe rakh dete hain sote mein chimaT kar

kuchh kuchh to haya kam hui bare kai din se

mehndi bhi hai missi bhi hai lakha bhi hai lab par

kuchh rang hain be-rang tumhaare kai din se

Dar se tere kakul ke nahin chalte hain raste

dam band hain is sanp ke mare kai din se

aaKHir meri aahon ne asar apna dikhaya

ghabrae hue phirte ho pyare kai din se

kis kushta-e-kakul ka rakha sog meri jaan

gesu nahin kyun tum ne sanware kai din se

pamal karoge kisi warafta ko apne

aTkheliyan hain chaal mein pyare kai din se

ek shab mere ghar aan ke mehman rahe the

aae nahin is sharm ke mare kai din se

phir 'shauq' se kya us but-e-ayyar se bigDi

hote nahin baham jo ishaare kai din se

(791) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahne Mein Nahin Hain Wo Hamare Kai Din Se In English By Famous Poet Mirza Shauq Lakhnavi. Kahne Mein Nahin Hain Wo Hamare Kai Din Se is written by Mirza Shauq Lakhnavi. Read famous Poem Kahne Mein Nahin Hain Wo Hamare Kai Din Se for youth and Student by Mirza Shauq Lakhnavi. Free Download Kahne Mein Nahin Hain Wo Hamare Kai Din Se in PDF.