Yahi Kahti Laili-e-soKHta-jaan Nahin Khati Adab Se KHuda Ki Qasam
yahi kahti laili-e-soKHta-jaan nahin khati adab se KHuda ki qasam
gham-e-qais siwa mujhe gham nahin kuchh usi kushta-e-naz-o-ada ki qasam
kabhi kahta tha qais ghazalon se ja kaho naqa yan se kidhar ko gaya
kabhi kahta tha tu hi batae saba tujhe laila ki zulf-e-dota ki qasam
tere kushta-e-gham ka hai haal batar yahi kahiyo jo jaana ho tera udhar
tujhe qasid-e-mauj-e-nasim-e-sahar meri hijr ki shab ki buka ki qasam
aai 'hawas' mujhe phulon ki bu kabhi baiTha na ja ke main bar-lab-e-ju
meri tangi-e-dil to gai na kabhu mujhe bagh-e-jahan ke faza ki qasam
(621) Peoples Rate This