Na Paya Khoj Barson Naqsh-e-pa-e-raftagan DhunDhe
na paya khoj barson naqsh-e-pa-e-raftagan DhunDhe
na ho mumkin pata jin ka unhen koi kahan DhunDhe
talash is tarah bazm-e-aish mein hai be-nishanon ki
koi kapDe mein jaise zaKHm-e-sozan ka nishan DhunDhe
hum us ke zikr hi se KHush kiya karte hain dil apna
sahaara jaise tinke ka ghariq-e-nim-jaan DhunDhe
kidhar ko ruTh kar jata raha ahd-e-shabab apna
na paya is musafir ko hazaron karwan DhunDhe
uThana ho subuk aadam pe jab bar-e-amanat ka
kahan se phir koi is ke liye bar-e-giran DhunDhe
girah sanson mein Dali hai 'hawas' ifraat-e-girya ne
na aah-e-na-tawan aane ko lab tak nardban DhunDhe
(711) Peoples Rate This