Sham Ka AKHbar
dena bhai han mujhe bhi sham ka aKHbar ek
phir kisi ThanDe lahu ne garm ki hogi KHabar
kaun se beTe hue hain stikato ki nazr
aaj ki shah-surKHiyon mein KHun-e-nahaq phir mila
taza taza zard kaghaz par gul-e-ahmad khila
kis gali matam bichha hai
kya saron ka hai shumar
aaTh column ki KHabar ke waste hain sirf chaar?
KHak mein luthDi hui surat hai ye kis phul ki
kahte hain diwar-o-dar building hai ye school ki
aaj to taswir bhi dhundla gai maqtul ki
na-munasib hai reporting
be-tuki manzar-kashi
kyun nahin rakh pate hain parche ka ye mear ek
ban gai hai ab sahafat jaise karobar ek
dena bhai phir bhi mujh ko sham ka aKHbar ek
(470) Peoples Rate This