Phir Aa Gai Ek But Pe Tabiat Ko Hua Kya
phir aa gai ek but pe tabiat ko hua kya
Talti hi nahin sar se musibat ko hua kya
mahrum phir aaya dar-e-mai-KHana se waiz
rindan-e-qadah-KHwar ki himmat ko hua kya
maqbul-e-dua ho na asar aah-o-fughan mein
is daur mein tasir-e-mohabbat ko hua kya
is husn-o-latafat pe kya sang-dil aisa
hairat mein hun allah ki hikmat ko hua kya
jage to koi anjuman-e-ghair mein shab bhar
aur chhai mere munh pe nadamat ko hua kya
danista naqab ulTe hue hain sar-e-bazar
aur us pe ye kahte hain ki KHilqat ko hua kya
lo hum to chale kausar o tasnim pe zahid
tum yunhi kahe jao ki rahmat ko hua kya
'mail' nahin kya aur zamane mein ilahi
mujh par hi utarti hai ye aafat ko hua kya
(682) Peoples Rate This