Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_9a3c5819e6fce269b18171c4e6faa3b0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Qatil-e-alam Se Kya Yarana Hai - Mirza Maseeta Beg Muntahi Poetry In English - Darsaal

Qatil-e-alam Se Kya Yarana Hai

qatil-e-alam se kya yarana hai

dil charagh-e-gor ka parwana hai

har makan mein jalwa-e-jaanana hai

aashiqon ka har jagah afsana hai

chhin lega bahr-e-zulf-e-ambarin

ye dil-e-sad-chaak rashk-e-shana hai

log kahte hain jise pir-e-mughan

yar ka kya jalwa-e-mastana hai

halqa-e-ada mein hai wo sim-bar

ganj hai jis ja wahan virana hai

jis jagah chalte the kal jam-e-sharab

aaj wan ulTa hua paimana hai

baiat-e-dast-e-subu se ye khula

sab se behtar mashrab-e-rindana hai

kyun na phanse daulat-e-duniya hamein

hai wahan par dam jis ja dana hai

mard-e-aKHir-bin ke aage munimon

kasrat-e-hasti bhi ek virana hai

kaam kya hai us ko mulk-o-mal se

pas jis ke himmat-e-mardana hai

hijr mein ashk-e-musalsal zahida

aashiqon ka subha-e-sad-dana hai

'muntahi' zer-e-qadam us yar ke

sar kaTana sajda-e-shukrana hai

(717) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qatil-e-alam Se Kya Yarana Hai In English By Famous Poet Mirza Maseeta Beg Muntahi. Qatil-e-alam Se Kya Yarana Hai is written by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Read famous Poem Qatil-e-alam Se Kya Yarana Hai for youth and Student by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Free Download Qatil-e-alam Se Kya Yarana Hai in PDF.