Nafs-e-sag-e-palid Ko Gar Apne Mariye
nafs-e-sag-e-palid ko gar apne mariye
manind-e-sher dasht-e-jahan mein Dakariye
us gul ko josh-e-gul mein ye kah kar ubhaariye
gulshan mein andalib ko chal kar pukariye
phir murgh-e-dil ko phansiye phir jal mariye
phir ho sake to aap se gesu sanwariye
piri mein kaif-e-ishq se tauba to kijiye
manzil rahi hai thoDi si himmat na haariye
girdab-e-bahr-e-ishq ke chakkar hain raat din
kaun aashna-e-haal hai kis ko pukariye
dil de ke jaur-o-zulm ka shikwa na kijiye
do din ki zindagi kisi Dhab se guzariye
ahl-e-hawas ki dahr mein miTTi KHarab hai
galiyon mein KHak chhan rahi hain niyariye
manind-e-zulf ghair ko kyun sar chaDhaiye
aankhon se shakl-e-ashk ke is ko utariye
paida karen asar jo dur-e-ashk naseho
un motiyon pe hans ko sau bar wariye
juz mere dal aap ki galti nahin kahin
yun munh se jitni chahiye sheKHi baghaariye
nala jo zer-e-tegh kiya main ne jis ghaDi
bole ki ek dam ke liye dam na mariye
tauba sharab-e-ishq se kis tarah kijiye
kyunkar ye jin chaDha hua sar se utariye
kya kya na dost apne miyan-e-adam gae
kis ko talash kijiye kis ko pukariye
us but ke bahr-e-husn mein dil ko Duboiye
is kashti-e-hayat ko yun par utariye
manzur ho jo rahat-e-kaunain 'muntahi'
hathon ko khich lijiye panw pasariye
(578) Peoples Rate This