Mubtala Ye Dil Hua Jab Yar Nanga Ho Gaya
mubtala ye dil hua jab yar nanga ho gaya
shama be-parda hui qurban patanga ho gaya
gir paDe ushshaq us ki tegh-e-KHun-asham par
kal shahadat ke talab-garon ka danga ho gaya
dafn kar ke fatiha paDh ke mera bola wo shoKH
aaj bimar-e-mohabbat mera changa ho gaya
bazm mein jal kar kiya shab raaz-e-ulfat aashkar
shama ke manind parwana bhi nanga ho gaya
gir ke us ke kucha-e-tarik mein nikla na dil
pech-e-zulf-e-yar ka mujh ko aDanga ho gaya
wasf dair-o-kaba ka hum ne judagana kiya
ek hi mazmun tha fiqara do-ranga ho gaya
baDhte baDhte apna tul-e-zindagani kam hua
ghaTte ghaTte jama-e-hasti uTanga ho gaya
KHushnuma hai us ruKH-e-raushan pe kya KHal-e-siyah
zeb gulzar-e-iram ka la-bhujanga ho gaya
shah-e-haft-aqlim se ai dil gada-e-dahr tak
Dhang se aaya wahan se yan kaDhanga ho gaya
jis qadar wo mujh se bigDa main bhi bigDa us qadar
wo hua jame se bahar mein bhi nanga ho gaya
yun kahenge yar iqlim-e-suKHan mein in dinon
'muntahi' bhi ek hi kaTTa-dabanga ho gaya
(751) Peoples Rate This