Mansur Pite Hi Mai-e-ulfat Bahak Gaya
mansur pite hi mai-e-ulfat bahak gaya
jam-e-mai-e-alast bhara tha chhalak gaya
piri hui shabab se utra jhaTak gaya
shair hun mera misr-e-sani laTak gaya
mujh rind-pak ka kabhi chullu na bhar diya
saqi tere karam se har ek yar chhak gaya
main loT ho gaya hun KHat-e-sabz-rang par
KHar-e-chaman se daman-e-dil pe aTak gaya
piri mein dil diya but-e-be-raham yar ko
manzil qarib thi ki musafir bahak gaya
bhaDkaya dil ko tazkira-e-husn-e-yar ne
ek Dher aag ka tha hawa se dahak gaya
parda sharab-e-ishq ka mansur se khula
naddaf tha ki pamba-e-mina dhanak gaya
bulbul hai chup nasim-e-sahar bhi KHamosh hai
shayad chaman mein barg-e-KHarabi khaDak gaya
jam-e-bilur mai ka bhara yar ne diya
shab ko hamara aKHtar-e-talea chamak gaya
tu wo hasin hua ki hue tujh pe sab fida
aisa hi gul khila ki zamana mahak gaya
rutba tere karam se hua KHaksar ka
KHurshid ki tarah se ye zarra chamak gaya
saude se jo bhara wo hua sar wabaal-e-dosh
bar-e-shajar hua wo samar jo ki pak gaya
lagta bahaar-e-gul mein gareban ka kya pata
daman ke phaDne mein kaho hath thak gaya
(591) Peoples Rate This