Jaur-e-aflak Bas-ki Jhele Hain
jaur-e-aflak bas-ki jhele hain
aise papaD bahut se bele hain
gah huzuri hai gah hai duri
gah akele hain gah do-kele hain
asp-e-tazi nazar nahin aate
so khuron se bhare tawele hain
kahte hain yan jise qimar-e-ishq
khel aise bahut se khele hain
jite hain wo qimar-e-ishq mein yar
jaan par apni jo ki khele hain
Thahre kab jang-e-husn mein ye shaiKH
ek muddat ke ye bhagele hain
pas apne dui ka nam nahin
jab se paida hue akele hain
na dikhana lahad mein aankhen nakir
pas apne bhi qul ke Dhele hain
kufr-o-din ka ho faisla kyunkar
ek muddat ke ye manjhele hain
dair-o-kaba ki bhiD-bhaD hai kya
aise dekhe bahut se mele hain
giriya-e-pur-asar ki shiddat hai
saf aab-e-baqa ke rele hain
bheja apna KHayal us but ne
jab suna 'muntahi' akele hain
(578) Peoples Rate This