Jaan Di Un Pe Mar-miTe Siske
jaan di un pe mar-miTe siske
hain hasin log aashna kis ke
un ko sikhlai hum ne aaraish
ruh phunki hai shaKHsh-e-be-his ke
nale pahunche gharib ke ta-arsh
bach gae danke mard-e-muflis ke
rakh ke KHanjar gale pe kahta hai
mar Dala agar zara khiske
bazm mein ja mili rafiqon ko
kanTe boe hain bagh mein bis ke
kya bataen ki kis ke aashiq hain
wo nazar aae to kahen is ke
nala kar kar ke dil hua KHamosh
rah gaya hai pa phoDa ris ris ke
koi kabe gaya haram ko koi
bande dargah apne ghar ghis ke
gesu-e-yar agar hai dam-e-bala
KHal-e-mushkin bhi kanTen hain bis ke
chhoDa piri mein ruh ne tan-e-zar
jama utra badan se ghis pis ke
dida-e-surma-sa ki ulfat mein
'muntahi' KHak ho gae pis ke
(617) Peoples Rate This