Fughan-o-ah Se Paida Kiya Dard-e-judai Ko
fughan-o-ah se paida kiya dard-e-judai ko
ghazab mein jaan ko Dala jata kar aashnai ko
miTaya pas-e-ruswai se meri aashnai ko
bichhaun aap ki ismat ko oDhun parsai ko
na aaya baad-e-murdan bhi lahad par fatiha paDhne
main itna bhi na samjha tha teri na-ashnai ko
na dil apna hua apna na ek but par hua qabu
karenge yaad kiya hum ai KHuda tere KHudai ko
kisi mahfil mein jis dam zikr-e-sham-e-tur hota hai
dikha dete hain wo jal kar sar-angusht-e-hinai ko
faqir-e-be-nawa us ke dar-e-daulat ka hai banda
ghanimat jaante hain shah tak jis ki gadai ko
asar paida karegi aah apni yar ke dil mein
nishane tak KHuda pahunchaega tir-e-hawai ko
kabhi hai fikr duniya ki kabhi uqba ka dhaDka hai
utarun jama-e-tan se main kyunkar is dulai ko
gareban hath aata hai na sahra tak pahunchta hun
KHuda ke waste dekho mere be-dast-o-pai ko
falak wo tafraqa-parwaz-e-alam hai dila sar par
ghanimat jaanta hun gor tak apni rasai ko
shikasta-dil hain har dam har ghaDi hain jaan ke lale
karun kya nosh-daro ko main kya lun musiyai ko
tamanna-e-dili ne 'muntahi' khoya mashiKHat ko
milaya KHak mein dast-e-hawas ne mirzai ko
(563) Peoples Rate This