Fughan-o-ah Hai Har-dam Pukar Rakhta Hai
fughan-o-ah hai har-dam pukar rakhta hai
ghazab mein jaan dil-e-be-qarar rakhta hai
gul-e-chaman na dur-e-shahwar rakhta hai
bhara bhara jo badan mera yar rakhta hai
latif ruh ki manind jism hai kis ka
piyaada kaun waqar-e-sawar rakhta hai
juda juda hai hasinan-e-dahr ka andaz
har ek tarah ki har gul bahaar rakhta hai
fareb-e-husn se allah aadmi ko bacha
chale ye pech to rustam ko mar rakhta hai
kamal-e-ishq ko pata hun KHaksari mein
taraf nasheb ke dariya guzar rakhta hai
bahaar aai hai bint-ul-inab pe joban hai
girah mein dam koi baada-KHwar rakhta hai
suna hai jab se ki hain dafan us mein aashiq-e-zar
qadam zamin pe nahin wo nigar rakhta hai
har ek shisha-e-saat falak ko kahta hai
ki 'muntahi' se sarasar ghubar rakhta hai
(654) Peoples Rate This