Dair-o-haram Ko ChhoD Ke Ai Dil Chal BaiTho MaiKHane Mein
dair-o-haram ko chhoD ke ai dil chal baiTho maiKHane mein
KHub guzar jaegi apni saqi se yarane mein
sair tabiat ho jaegi nasha jo hai howega wahi
farq nahin hai saqi hargiz chullu mein paimane mein
ruh hai jab tak jism ke andar jism pe mere raunaq hai
kashana aabaad hai jab tak bulbul hai kashane mein
dast-e-tamanna qata hua barbaad hui hai hirs-o-hawa
zist ki surat apni bandhi ai nafs tere mar jaane mein
sach hai dil ko apne bhi juz yaad sanam kuchh dhyan nahin
dekh to ai naseh kaisi hushyari hai diwane mein
fikr-e-duniya se hain chhuTe is ranj-e-jahan se pai najat
lakh tarah ki rahat pai ek apne mar jaane mein
pesh-e-junun-e-baKHta ai dil maut to zist se KHush-tar hai
shama ke aage raqs-kunan tha parwana jal jaane mein
husn-e-nairang us mah-ru ka dil-e-hazin mein rahta hai
chashm-e-bina ho to dekhe basti hai virane mein
naqsh-e-mohabbat kahin na paya lauh-e-dil par insan ke
phira qalam ki surat se main barson ek ek KHane mein
(548) Peoples Rate This