Bazm-e-alam Mein Bahut Se Humne Mare Hath-paon
bazm-e-alam mein bahut se hum ne mare hath-paon
teri surat ke na dekhe pyare pyare hath-paon
bahr-e-ulfat mein bahut se hum ne mare hath-paon
lag rahe manind-e-KHas aaKHir kinare hath-paon
aashiq mu-e-kamar ki le KHabar o be-KHabar
sukh kar tinka hue hain us ke sare hath-paon
meri KHidmat se nihayat KHush hua wo bad-mizaj
wasl ki shab kaam aae apne bare hath-paon
bahr-e-hasti mein mila hum ko dur-e-maqsad na haif
mauj ke manind kya kya hum ne mare hath-paon
waqt-e-zabh bola ye qatil aashiq-e-nad-shad se
TukDe kar Dala kabhi tu ne jo mare hath-paon
khel rahta hai tawakkul par meri auqat ka
chalte-phirte hain hamare be-sahaare hath-paon
tikhi tikhi un ki chitwan banki banki un ki chaal
bholi bholi un ki surat pyare pyare hath-paon
(557) Peoples Rate This