Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ade641d47ac79c578583067825eecffa, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Aap Aae The Yan Jafa Ke Liye - Mirza Maseeta Beg Muntahi Poetry In English - Darsaal

Aap Aae The Yan Jafa Ke Liye

aap aae the yan jafa ke liye

jaiye bhi kahin KHuda ke liye

dil diya tha tumhein jafa ke liye

hosh mein aaiye KHuda ke liye

tere bazar-e-dahr mein gardun

hum bhi aae hain ek qaba ke liye

panw hain kucha-e-tawakkal mein

hath uThte nahin dua ke liye

aa kabhi to mere qafas ki taraf

ai nasim-e-chaman KHuda ke liye

hai tah-e-KHak farsh-e-KHak laga

shah ke waste gada ke liye

dam phaDakta hai tauf-e-kaba par

dil taDapta hai karbala ke liye

sar uThae hain KHar-e-dasht-o-junun

'muntahi' se barhana-pa ke liye

(557) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aap Aae The Yan Jafa Ke Liye In English By Famous Poet Mirza Maseeta Beg Muntahi. Aap Aae The Yan Jafa Ke Liye is written by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Read famous Poem Aap Aae The Yan Jafa Ke Liye for youth and Student by Mirza Maseeta Beg Muntahi. Free Download Aap Aae The Yan Jafa Ke Liye in PDF.