Gai Yak-ba-yak Jo Hawa PalaT Nahin Dil Ko Apne Qarar Hai
gai yak-ba-yak jo hawa palaT nahin dil ko apne qarar hai
karun gham sitam ka main kya bayan mera gham se sina figar hai
wale shahr-e-dehli ye tha chaman ki tha sab tarah ka yahan aman
wo KHitab is ka to miT gaya faqat ab to ujDa dayar hai
ye reaya hind tabah hui kahun kya jo un pe jafa hui
jise dekha hakim-e-waqt ne kaha ye to qabil-e-dar hai
shab-o-roz phulon mein jo tulen wo yun KHar-e-gham se figar hun
mile tauq qaid mein jab unhen kahen badle gul ke ye haar hai
jo suluk auron se karte the wahi ab hain kitne zalil-o-KHwar
wo hain tang charKH ke jaur se raha tan pe un ke na tar hai
ye zamana hai wo bura falak chalo bach ke sab se alag alag
na rafiq koi kisi ka yan na kisi ka koi bhi yar hai
kya 'husami' Dar tujhe hashr ka jo KHuda rakhe tujhe barmala
tujhe hai wasila rasul ka wahi tera hami-e-kar hai
(617) Peoples Rate This