Naseh Ye Nasihat Na Suna Main Nahin Sunta
naseh ye nasihat na suna main nahin sunta
bak bak ke mera maghz na kha main nahin sunta
ahwal mera dhyan se sunta tha wa-lekin
kuchh baat jo samjha to kaha main nahin sunta
us but ne jo ghairon pe kya lutf to yaro
mujh se na kaho bahr-e-KHuda main nahin sunta
kuchh zikr mein zikr apna main laya to wo bola
bas baat ko itna na baDha main nahin sunta
shikwa se hi karta jo koi us se mera zikr
tu kahta hai har ek ka gila main nahin sunta
'mehnat' ko hai ye zoaf ki kuchh apni haqiqat
kahta hai wo mujh se to zara main nahin sunta
(950) Peoples Rate This