Bas Ki Faalumma-yurid Hai Aaj
bas ki faalumma-yurid hai aaj
har silah shor englistan ka
ghar se bazar mein nikalte hue
zohra hota hai aab insan ka
chauk jis ko kahen wo maqtal hai
ghar bana hai namuna zindan ka
shahr-e-dehli ka zarra zarra KHak
tishna-e-KHun hai har musalman ka
koi wan se na aa sake yan tak
aadmi wan na ja sake yan ka
main ne mana ki mil gae phir kya
wahi rona tan o dil o jaan ka
gah jal kar kiya kiye shikwa
sozish-e-dagh-ha-e-pinhan ka
gah ro kar kaha kiye baham
majra dida-ha-e-giryan ka
is tarah ke visal se yarab
kya miTe dil se dagh hijran ka
(1287) Peoples Rate This