Zulmat-kade Mein Mere Shab-e-gham Ka Josh Hai
zulmat-kade mein mere shab-e-gham ka josh hai
ek shama hai dalil-e-sahar so KHamosh hai
ne muzhda-e-visal na nazzara-e-jamal
muddat hui ki aashti-e-chashm-o-gosh hai
mai ne kiya hai husn-e-KHud-ara ko be-hijab
ai shauq! han ijazat-e-taslim-e-hosh hai
gauhar ko aqd-e-gardan-e-KHuban mein dekhna
kya auj par sitara-e-gauhar-farosh hai
didar baada hausla saqi nigah mast
bazm-e-KHayal mai-kada-e-be-KHarosh hai
ai taza wardan-e-bisat-e-hawa-e-dil
zinhaar agar tumhein hawas-e-nae-o-nosh hai
dekho mujhe jo dida-e-ibrat-nigah ho
meri suno jo gosh-e-nasihat-neosh hai
saqi-ba-jalwa dushman-e-iman-o-agahi
mutrib ba-naghma rahzan-e-tamkin-o-hosh hai
ya shab ko dekhte the ki har gosha-e-bisat
daman-e-baghban o kaf-e-gul-farosh hai
luft-e-KHiram-e-saqi o zauq-e-sada-e-chang
ye jannat-e-nigah wo firdaus-e-gosh hai
ya subh-dam jo dekhiye aa kar to bazm mein
ne wo surur o soz na josh-o-KHarosh hai
dagh-e-firaq-e-sohbat-e-shab ki jali hui
ek shama rah gai hai so wo bhi KHamosh hai
aate hain ghaib se ye mazamin KHayal mein
'ghaalib' sarir-e-KHama nawa-e-sarosh hai
(3141) Peoples Rate This