Zikr Us Pari-wash Ka Aur Phir Bayan Apna
zikr us pari-wash ka aur phir bayan apna
ban gaya raqib aaKHir tha jo raaz-dan apna
mai wo kyun bahut pite bazm-e-ghair mein ya rab
aaj hi hua manzur un ko imtihan apna
manzar ek bulandi par aur hum bana sakte
arsh se udhar hota kash ke makan apna
de wo jis qadar zillat hum hansi mein Talenge
bare aashna nikla un ka pasban apna
dard-e-dil likhun kab tak jaun un ko dikhla dun
ungliyan figar apni KHama KHun-chakan apna
ghiste ghiste miT jata aap ne abas badla
nang-e-sajda se mere sang-e-astan apna
ta kare na ghammazi kar liya hai dushman ko
dost ki shikayat mein hum ne ham-zaban apna
hum kahan ke dana the kis hunar mein yakta the
be-sabab hua 'ghaalib' dushman aasman apna
(2635) Peoples Rate This