Zikr Mera Ba-badi Bhi Use Manzur Nahin

zikr mera ba-badi bhi use manzur nahin

ghair ki baat bigaD jae to kuchh dur nahin

wada-e-sair-e-gulistan hai KHusha tale-e-shauq

muzhda-e-qatl muqaddar hai jo mazkur nahin

shahid-e-hasti-e-mutlaq ki kamar hai aalam

log kahte hain ki hai par hamein manzur nahin

qatra apna bhi haqiqat mein hai dariya lekin

hum ko taqlid-e-tunuk-zarfi-e-mansur nahin

hasrat ai zauq-e-KHarabi ki wo taqat na rahi

ishq-e-pur-arbada ki gun tan-e-ranjur nahin

main jo kahta hun ki hum lenge qayamat mein tumhein

kis raunat se wo kahte hain ki hum hur nahin

zulm kar zulm agar lutf daregh aata ho

tu taghaful mein kisi rang se mazur nahin

saf durdi-kash-e-paimana-e-jam hain hum log

wae wo baada ki afsharda-e-angur nahin

hun zuhuri ke muqabil mein KHifai 'ghaalib'

mere dawe pe ye hujjat hai ki mashhur nahin

(1639) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zikr Mera Ba-badi Bhi Use Manzur Nahin In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Zikr Mera Ba-badi Bhi Use Manzur Nahin is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Zikr Mera Ba-badi Bhi Use Manzur Nahin for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Zikr Mera Ba-badi Bhi Use Manzur Nahin in PDF.