Zamana SaKHt Kam-azar Hai Ba-jaan-e-asad
zamana saKHt kam-azar hai ba-jaan-e-asad
wagarna hum to tawaqqo zyaada rakhte hain
tan-e-ba-band-e-hawas dar nadada rakhte hain
dil-e-z-kar-e-jahan uftada rakhte hain
tamiz-e-zishti-o-neki mein lakh baaten hain
ba-aks-e-aina yak-fard-e-sada rakhte hain
ba-rang-e-saya hamein bandagi mein hai taslim
ki dagh-e-dil ba-jabin-e-kushada rakhte hain
ba-zahidan rag-e-gardan hai rishta-e-zunnar
sar-e-ba-pa-e-but-e-na-nihada rakhte hain
muaf-e-be-huda-goi hain nasehan-e-aziz
dil-e-ba-dast-e-nigare nadada rakhte hain
ba-rang-e-sabza azizan-e-bad-zaban yak-dast
hazar tegh-e-ba-zahr-ab-dada rakhte hain
adab ne saunpi hamein surma-sai-e-hairat
z-ban-e-basta-o-chashm-e-kushada rakhte hain
(1544) Peoples Rate This