ZaKHm Par ChhiDken Kahan Tiflan-e-be-parwa Namak
zaKHm par chhiDken kahan tiflan-e-be-parwa namak
kya maza hota agar patthar mein bhi hota namak
gard-e-rah-e-yar hai saman-e-naz-e-zaKHm-e-dil
warna hota hai jahan mein kis qadar paida namak
mujh ko arzani rahe tujh ko mubarak hojiyo
nala-e-bulbul ka dard aur KHanda-e-gul ka namak
shor-e-jaulan tha kanar-e-bahr par kis ka ki aaj
gard-e-sahil hai ba-zaKHm-e-mauja-e-dariya namak
dad deta hai mere zaKHm-e-jigar ki wah wah
yaad karta hai mujhe dekhe hai wo jis ja namak
chhoD kar jaana tan-e-majruh-e-ashiq haif hai
dil talab karta hai zaKHm aur mange hain aaza namak
ghair ki minnat na khinchunga pai-e-taufir-e-dard
zaKHm misl-e-KHanda-e-qatil hai sar-ta-pa namak
yaad hain 'ghaalib' tujhe wo din ki wajd-e-zauq mein
zaKHm se girta to main palkon se chunta tha namak
is amal mein aish ki lazzat nahin milti 'asad'
zor nisbat mai se rakhta hai azara ka namak
(3177) Peoples Rate This