Ye Na Thi Hamari Qismat Ki Visal-e-yar Hota
ye na thi hamari qismat ki visal-e-yar hota
agar aur jite rahte yahi intizar hota
tere wade par jiye hum to ye jaan jhuT jaana
ki KHushi se mar na jate agar e'tibar hota
teri nazuki se jaana ki bandha tha ahd boda
kabhi tu na toD sakta agar ustuwar hota
koi mere dil se puchhe tere tir-e-nim-kash ko
ye KHalish kahan se hoti jo jigar ke par hota
ye kahan ki dosti hai ki bane hain dost naseh
koi chaarasaz hota koi gham-gusar hota
rag-e-sang se Tapakta wo lahu ki phir na thamta
jise gham samajh rahe ho ye agar sharar hota
gham agarche jaan-gusil hai pa kahan bachen ki dil hai
gham-e-ishq gar na hota gham-e-rozgar hota
kahun kis se main ki kya hai shab-e-gham buri bala hai
mujhe kya bura tha marna agar ek bar hota
hue mar ke hum jo ruswa hue kyun na gharq-e-dariya
na kabhi janaza uThta na kahin mazar hota
use kaun dekh sakta ki yagana hai wo yakta
jo dui ki bu bhi hoti to kahin do-chaar hota
ye masail-e-tasawwuf ye tera bayan 'ghaalib'
tujhe hum wali samajhte jo na baada-KHwar hota
(2296) Peoples Rate This