Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_d0c0769b9a914f32ea02ab6b853901fa, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ye Hum Jo Hijr Mein Diwar-o-dar Ko Dekhte Hain - Mirza Ghalib Poetry In English - Darsaal

Ye Hum Jo Hijr Mein Diwar-o-dar Ko Dekhte Hain

ye hum jo hijr mein diwar-o-dar ko dekhte hain

kabhi saba ko kabhi nama-bar ko dekhte hain

wo aae ghar mein hamare KHuda ki qudrat hai

kabhi hum un ko kabhi apne ghar ko dekhte hain

nazar lage na kahin is ke dast-o-bazu ko

ye log kyun mere zaKHm-e-jigar ko dekhte hain

tere jawahir-e-tarf-e-kulah ko kya dekhen

hum auj-e-tala-e-lal-o-gohar ko dekhte hain

(1873) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Hum Jo Hijr Mein Diwar-o-dar Ko Dekhte Hain In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Ye Hum Jo Hijr Mein Diwar-o-dar Ko Dekhte Hain is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Ye Hum Jo Hijr Mein Diwar-o-dar Ko Dekhte Hain for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Ye Hum Jo Hijr Mein Diwar-o-dar Ko Dekhte Hain in PDF.