Wo Aa Ke KHwab Mein Taskin-e-iztirab To De
wo aa ke KHwab mein taskin-e-iztirab to de
wale mujhe tapish-e-dil majal-e-KHwab to de
kare hai qatl lagawaT mein tera ro dena
teri tarah koi tegh-e-nigah ko aab to de
dikha ke jumbish-e-lab hi tamam kar hum ko
na de jo bosa to munh se kahin jawab to de
pila de ok se saqi jo hum se nafrat hai
piyala gar nahin deta na de sharab to de
'asad' KHushi se mere hath panw phul gae
kaha jo us ne zara mere panw dab to de
ye kaun kahwe hai aabaad kar hamein lekin
kabhi zamana murad-e-dil-e-KHarab to de
(1809) Peoples Rate This