Wan Pahunch Kar Jo Ghash Aata Pae-ham Hai Hum Ko
wan pahunch kar jo ghash aata pae-ham hai hum ko
sad-rah aahang-e-zamin bos-e-qadam hai hum ko
dil ko main aur mujhe dil mahw-e-wafa rakhta hai
kis qadar zauq-e-giriftari-e-ham hai hum ko
zof se naqsh-e-pa-e-mor hai tauq-e-gardan
tere kuche se kahan taqat-e-ram hai hum ko
jaan kar kije taghaful ki kuchh ummid bhi ho
ye nigah-e-ghalat-andaz to sam hai hum ko
rashk-e-ham-tarhi o dard-e-asar-e-bang-e-hazin
nala-e-murgh-e-sahar tegh-e-do-dam hai hum ko
sar uDane ke jo wade ko mukarrar chaha
hans ke bole ki tere sar ki qasam hai hum ko
dil ke KHun karne ki kya wajh wa-lekin na-chaar
pas-e-be-raunaqi-e-dida aham hai hum ko
tum wo nazuk ki KHamoshi ko fughan kahte ho
hum wo aajiz ki taghaful bhi sitam hai hum ko
lucknow aane ka bais nahin khulta yani
hawas-e-sair-o-tamasha so wo kam hai hum ko
maqta-e-silsila-e-shauq nahin hai ye shahr
azm-e-sair-e-najaf-o-tauf-e-haram hai hum ko
liye jati hai kahin ek tawaqqo 'ghaalib'
jada-e-rah kashish-e-kaf-e-karam hai hum ko
abr rota hai ki bazm-e-tarab aamada karo
barq hansti hai ki fursat koi dam hai hum ko
(2122) Peoples Rate This