Us Bazm Mein Mujhe Nahin Banti Haya Kiye

us bazm mein mujhe nahin banti haya kiye

baiTha raha agarche ishaare hua kiye

dil hi to hai siyasat-e-darban se Dar gaya

main aur jaun dar se tere bin sada kiye

rakhta phirun hun KHirqa o sajjada rahn-e-mai

muddat hui hai dawat aab-o-hawa kiye

be-sarfa hi guzarti hai ho garche umr-e-KHizr

hazrat bhi kal kahenge ki hum kya kiya kiye

maqdur ho to KHak se puchhun ki ai laim

tu ne wo gunjha-e-giran-maya kya kiye

kis roz tohmaten na tarasha kiye adu

kis din hamare sar pe na aare chala kiye

sohbat mein ghair ki na paDi ho kahin ye KHu

dene laga hai bosa baghair iltija kiye

zid ki hai aur baat magar KHu buri nahin

bhule se us ne saikDon wade wafa kiye

'ghaalib' tumhin kaho ki milega jawab kya

mana ki tum kaha kiye aur wo suna kiye

(1634) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us Bazm Mein Mujhe Nahin Banti Haya Kiye In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Us Bazm Mein Mujhe Nahin Banti Haya Kiye is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Us Bazm Mein Mujhe Nahin Banti Haya Kiye for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Us Bazm Mein Mujhe Nahin Banti Haya Kiye in PDF.