Tum Jaano Tumko Ghair Se Jo Rasm-o-rah Ho
tum jaano tum ko ghair se jo rasm-o-rah ho
mujh ko bhi puchhte raho to kya gunah ho
bachte nahin muwaKHaza-e-roz-e-hashr se
qatil agar raqib hai to tum gawah ho
kya wo bhi be-gunah-kush o haq-na-shanas hain
mana ki tum bashar nahin KHurshid o mah ho
ubhra hua naqab mein hai un ke ek tar
marta hun main ki ye na kisi ki nigah ho
jab mai-kada chhuTa to phir ab kya jagah ki qaid
masjid ho madrasa ho koi KHanqah ho
sunte hain jo bahisht ki tarif sab durust
lekin KHuda kare wo tera jalwa-gah ho
'ghaalib' bhi gar na ho to kuchh aisa zarar nahin
duniya ho ya rab aur mera baadshah ho
(1262) Peoples Rate This