Tu Dost Kisu Ka Bhi Sitamgar Na Hua Tha
tu dost kisu ka bhi sitamgar na hua tha
auron pe hai wo zulm ki mujh par na hua tha
chhoDa mah-e-naKHshab ki tarah dast-e-qaza ne
KHurshid hunuz us ke barabar na hua tha
taufiq ba-andaza-e-himmat hai azal se
aankhon mein hai wo qatra ki gauhar na hua tha
jab tak ki na dekha tha qad-e-yar ka aalam
main mo'taqid-e-fitna-e-mahshar na hua tha
main sada-dil aazurdagi-e-yar se KHush hun
yani sabaq-e-shauq mukarrar na hua tha
dariya-e-maasi tunuk-abi se hua KHushk
mera sar-e-daman bhi abhi tar na hua tha
jari thi 'asad' dagh-e-jigar se meri tahsil
aatish-kada jagir-e-samundar na hua tha
(1629) Peoples Rate This