Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e2ebeb0960a0305067de2cffa7552e84, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tere Tausan Ko Saba Bandhte Hain - Mirza Ghalib Poetry In English - Darsaal

Tere Tausan Ko Saba Bandhte Hain

tere tausan ko saba bandhte hain

hum bhi mazmun ki hawa bandhte hain

aah ka kis ne asar dekha hai

hum bhi ek apni hawa bandhte hain

teri fursat ke muqabil ai umr

barq ko pa-ba-hina bandhte hain

qaid-e-hasti se rihai malum

ashk ko be-sar-o-pa bandhte hain

nashsha-e-rang se hai washud-e-gul

mast kab band-e-qaba bandhte hain

ghalati-ha-e-mazamin mat puchh

log nale ko rasa bandhte hain

ahl-e-tadbir ki wamandgiyan

aablon par bhi hina bandhte hain

sada purkar hain KHuban 'ghaalib'

hum se paiman-e-wafa bandhte hain

panw mein jab wo hina bandhte hain

mere hathon ko juda bandhte hain

husn-e-afsurda-dili-ha-rangin

shauq ko pa-ba-hina bandhte hain

qaid mein bhi hai asiri aazad

chashm-e-zanjir ko wa bandhte hain

shaiKH-ji kabe ka jaana malum

aap masjid mein gadha bandhte hain

kis ka dil zulf se bhaga ki 'asad'

dast-e-shana ba-qaza bandhte hain

tere bimar pe hain fariyaadi

wo jo kaghaz mein dawa bandhte hain

(1348) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Tausan Ko Saba Bandhte Hain In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Tere Tausan Ko Saba Bandhte Hain is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Tere Tausan Ko Saba Bandhte Hain for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Tere Tausan Ko Saba Bandhte Hain in PDF.