Taskin Ko Hum Na Roen Jo Zauq-e-nazar Mile
taskin ko hum na roen jo zauq-e-nazar mile
huran-e-KHuld mein teri surat magar mile
apni gali mein mujh ko na kar dafn baad-e-qatl
mere pate se KHalq ko kyun tera ghar mile
saqi-gari ki sharm karo aaj warna hum
har shab piya hi karte hain mai jis qadar mile
tujh se to kuchh kalam nahin lekin ai nadim
mera salam kahiyo agar nama-bar mile
tum ko bhi hum dikhaen ki majnun ne kya kiya
fursat kashakash-e-gham-e-pinhan se gar mile
lazim nahin ki KHizr ki hum pairwi karen
jaana ki ek buzurg hamein ham-safar mile
ai sakinan-e-kucha-e-dildar dekhna
tum ko kahin jo 'ghaalib'-e-ashufta-sar mile
(1771) Peoples Rate This