Tapish Se Meri Waqf-e-kashmakash Har Tar-e-bistar Hai

tapish se meri waqf-e-kashmakash har tar-e-bistar hai

mera sar ranj-e-baalin hai mera tan bar-e-bistar hai

sarishk-e-sar ba-sahra dada nur-ul-ain-e-daman hai

dil-e-be-dast-o-pa uftada bar-KHurdar-e-bistar hai

KHusha iqbaal-e-ranjuri ayaadat ko tum aae ho

farogh-e-sham-e-baalin tala-e-bedar-e-bistar hai

ba-tufan-gah-e-josh-e-iztirab-e-sham-e-tanhai

shua-e-aftab-e-subh-e-mahshar tar-e-bistar hai

abhi aati hai bu baalish se us ki zulf-e-mushkin ki

hamari did ko KHwab-e-zuleKHa aar-e-bistar hai

kahun kya dil ki kya haalat hai hijr-e-yar mein ghaalib

ki betabi se har-yak tar-e-bistar KHar-e-bistar hai

(1219) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tapish Se Meri Waqf-e-kashmakash Har Tar-e-bistar Hai In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Tapish Se Meri Waqf-e-kashmakash Har Tar-e-bistar Hai is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Tapish Se Meri Waqf-e-kashmakash Har Tar-e-bistar Hai for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Tapish Se Meri Waqf-e-kashmakash Har Tar-e-bistar Hai in PDF.