Simab-pusht Garmi-e-aina De Hai Hum
simab-pusht garmi-e-aina de hai hum
hairan kiye hue hain dil-e-be-qarar ke
aaghosh-e-gul kushuda bara-e-wida hai
ai andalib chal ki chale din bahaar ke
yun baad-e-zabt-e-ashk phirun gird yar ke
pani piye kisu pe koi jaise war ke
baad-az-wida-e-yar ba-KHun dar tapida hain
naqsh-e-qadam hain hum kaf-e-pa-e-nigar ke
hum mashq-e-fikr-e-wasl-o-gham-e-hijr se 'asad'
laiq nahin rahe hain gham-e-rozgar ke
(1708) Peoples Rate This