Shauq Har Rang Raqib-e-sar-o-saman Nikla
shauq har rang raqib-e-sar-o-saman nikla
qais taswir ke parde mein bhi uryan nikla
zaKHm ne dad na di tangi-e-dil ki ya rab
tir bhi sina-e-bismil se par-afshan nikla
bu-e-gul nala-e-dil dud-e-charagh-e-mahfil
jo teri bazm se nikla so pareshan nikla
dil-e-hasrat-zada tha maida-e-lazzat-e-dard
kaam yaron ka ba-qadr-e-lab-o-dandan nikla
thi nau-amuz-e-fana himmat-e-dushwar-pasand
saKHt mushkil hai ki ye kaam bhi aasan nikla
dil mein phir girye ne ek shor uThaya 'ghaalib'
aah jo qatra na nikla tha so tufan nikla
kar-KHane se junun ke bhi main uryan nikla
meri qismat ka na ek-adh gareban nikla
saghar-e-jalwa-e-sarshaar hai har zarra-e-KHak
shauq-e-didar bala aaina-saman nikla
kuchh khaTakta tha mere sine mein lekin aaKHir
jis ko dil kahte the so tir ka paikan nikla
kis qadar KHak hua hai dil-e-majnun ya rab
naqsh-e-har-zarra suwaida-e-bayaban nikla
shor-e-ruswai-e-dil dekh ki yak-nala-e-shauq
lakh parde mein chhupa par wahi uryan nikla
shoKHi-e-rang-e-hina KHun-e-wafa se kab tak
aaKHir ai ahd-shikan tu bhi pasheman nikla
jauhar-ijad-e-KHat-e-sabz hai KHud-bini-e-husn
jo na dekha tha so aaine mein pinhan nikla
main bhi mazur-e-junun hun 'asad' ai KHana-KHarab
peshwa lene mujhe ghar se bayaban nikla
(1809) Peoples Rate This