Shab Ki Barq-e-soz-e-dil Se Zahra-e-abr Aab Tha
shab ki barq-e-soz-e-dil se zahra-e-abr aab tha
shoala-e-jawwala har yak halqa-e-girdab tha
wan karam ko uzr-e-barish tha inan-gir-e-KHiram
girye se yan pumba-e-baalish kaf-e-sailab tha
wan KHud-arai ko tha moti pirone ka KHayal
yan hujum-e-ashk mein tar-e-nigah nayab tha
jalwa-e-gul ne kiya tha wan charaghan aabju
yan rawan mizhgan-e-chashm-e-tar se KHun-e-nab tha
yan sar-e-pur-shor be-KHwabi se tha diwar-ju
wan wo farq-e-naz mahw-e-baalish-e-kim-KHwab tha
yan nafas karta tha raushan sham-e-bazm-e-be-KHudi
jalwa-e-gul wan bisat-e-sohbat-e-ahbab tha
farsh se ta arsh wan tufan tha mauj-e-rang ka
yan zamin se aasman tak soKHtan ka bab tha
na-gahan is rang se KHunaba Tapkane laga
dil ki zauq-e-kawish-e-naKHun se lazzat-yab tha
(1713) Peoples Rate This