Sar-gashtagi Mein Aalam-e-hasti Se Yas Hai
sar-gashtagi mein aalam-e-hasti se yas hai
taskin ko de nawed ki marne ki aas hai
leta nahin mere dil-e-awara ki KHabar
ab tak wo jaanta hai ki mere hi pas hai
kijiye bayan surur-e-tap-e-gham kahan talak
har mu mere badan pe zaban-e-sipas hai
hai wo ghurur-e-husn se begana-e-wafa
har-chand us ke pas dil-e-haq-shanas hai
pi jis qadar mile shab-e-mahtab mein sharab
is balghami-mizaj ko garmi hi ras hai
har ek makan ko hai makin se sharaf 'asad'
majnun jo mar gaya hai to jangal udas hai
kya gham hai us ko jis ka 'ali' sa imam ho
itna bhi ai falak-zada kyun bad-hawas hai
(3347) Peoples Rate This