Sarapa Rehn-e-ishq-o-na-guzir-e-ulfat-e-hasti
sarapa rehn-e-ishq-o-na-guzir-e-ulfat-e-hasti
ibaadat barq ki karta hun aur afsos hasil ka
ba-qadr-e-zarf hai saqi KHumar-e-tishna-kaami bhi
jo tu dariya-e-mai hai to main KHamyaza hun sahil ka
zi-bas KHun-gashta-e-rashk-e-wafa tha wahm bismil ka
churaya zaKHm-ha-e-dil ne pani tegh-e-qatil ka
nigah-e-chashm-e-hasid wam le ai zauq-e-KHud-bini
tamashai hun wahdat-KHana-e-aina-e-dil ka
sharar-fursat nigah saman-e-yak-alam charaghan hai
ba-qadr-e-rang yan gardish mein hai paimana mahfil ka
sarasar taKHtan ko shash-jihat yak-arsa jaulan tha
hua wamandgi se rah-rawan ki farq manzil ka
mujhe rah-e-suKHan mein KHauf-e-gum-rahi nahin ghaalib
asa-e-KHizr-e-sahra-e-suKHan hai KHama be-dil ka
(1592) Peoples Rate This