Sadgi Par Uski Mar Jaane Ki Hasrat Dil Mein Hai
sadgi par us ki mar jaane ki hasrat dil mein hai
bas nahin chalta ki phir KHanjar kaf-e-qatil mein hai
dekhna taqrir ki lazzat ki jo us ne kaha
main ne ye jaana ki goya ye bhi mere dil mein hai
garche hai kis kis burai se wale bain-hama
zikr mera mujh se behtar hai ki us mahfil mein hai
bas hujum-e-na-umidi KHak mein mil jaegi
ye jo ek lazzat hamari sai-e-be-hasil mein hai
ranj-e-rah kyun khinche wamandagi ko ishq hai
uTh nahin sakta hamara jo qadam manzil mein hai
jalwa zar-e-atish-e-dozaKH hamara dil sahi
fitna-e-shor-e-qayamat kis ke aab-o-gil mein hai
hai dil-e-shorida-e-'ghaalib' tilism-e-pech-o-tab
rahm kar apni tamanna par ki kis mushkil mein hai
(4507) Peoples Rate This