Sab Kahan Kuchh Lala-o-gul Mein Numayan Ho Gain
sab kahan kuchh lala-o-gul mein numayan ho gain
KHak mein kya suraten hongi ki pinhan ho gain
yaad thin hum ko bhi ranga-rang bazm-araiyan
lekin ab naqsh-o-nigar-e-taq-e-nisyan ho gain
thin banat-un-nash-e-gardun din ko parde mein nihan
shab ko un ke ji mein kya aai ki uryan ho gain
qaid mein yaqub ne li go na yusuf ki KHabar
lekin aankhen rauzan-e-diwar-e-zindan ho gain
sab raqibon se hon na-KHush par zanan-e-misr se
hai zuleKHa KHush ki mahw-e-mah-e-kanan ho gain
ju-e-KHun aankhon se bahne do ki hai sham-e-firaq
main ye samjhunga ki shamen do farozan ho gain
in pari-zadon se lenge KHuld mein hum intiqam
qudrat-e-haq se yahi huren agar wan ho gain
nind us ki hai dimagh us ka hai raaten us ki hain
teri zulfen jis ke bazu par pareshan ho gain
main chaman mein kya gaya goya dabistan khul gaya
bulbulen sun kar mere nale ghazal-KHwan ho gain
wo nigahen kyun hui jati hain ya-rab dil ke par
jo meri kotahi-e-qismat se mizhgan ho gain
bas-ki roka main ne aur sine mein ubhrin pai-ba-pai
meri aahen baKHiya-e-chaak-e-gareban ho gain
wan gaya bhi main to un ki galiyon ka kya jawab
yaad thin jitni duaen sarf-e-darban ho gain
jaan-faza hai baada jis ke hath mein jam aa gaya
sab lakiren hath ki goya rag-e-jaan ho gain
hum muwahhid hain hamara kesh hai tark-e-rusum
millaten jab miT gain ajza-e-iman ho gain
ranj se KHugar hua insan to miT jata hai ranj
mushkilen mujh par paDin itni ki aasan ho gain
yun hi gar rota raha 'ghaalib' to ai ahl-e-jahan
dekhna in bastiyon ko tum ki viran ho gain
(3318) Peoples Rate This