RuKH-e-nigar Se Hai Soz-e-jawidani-e-shama
ruKH-e-nigar se hai soz-e-jawidani-e-shamma
hui hai aatish-e-gul aab-e-zindagani-e-shamma
zaban-e-ahl-e-zaban mein hai marg KHamoshi
ye baat bazm mein raushan hui zabani-e-shamma
kare hai sarf ba-ima-e-shola qissa tamam
ba-tarz-e-ahl-e-fana hai fasana-KHwani-e-shamma
gham us ko hasrat-e-parwana ka hai ai shole
tere larazne se zahir hai na-tawani-e-shamma
tere KHayal se ruh ehtizaz karti hai
ba-jalwa-rezi-e-baad o ba-par-fishani-e-shamma
nashat-e-dagh-e-gham-e-ishq ki bahaar na puchh
shaguftagi hai shahid-e-gul-e-KHizani-e-shamma
jale hai dekh ke baalin-e-yar par mujh ko
na kyun ho dil pe mere dagh-e-bad-gumani-e-shamma
(1071) Peoples Rate This