Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_789563f957a05bc4c5428445b0b70ce0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Rone Se Aur Ishq Mein Bebak Ho Gae - Mirza Ghalib Poetry In English - Darsaal

Rone Se Aur Ishq Mein Bebak Ho Gae

rone se aur ishq mein bebak ho gae

dhoe gae hum itne ki bas pak ho gae

sarf-e-baha-e-mai hue aalat-e-mai-kashi

the ye hi do hisab so yun pak ho gae

ruswa-e-dahr go hue aawargi se tum

bare tabiaton ke to chaalak ho gae

kahta hai kaun nala-e-bulbul ko be-asar

parde mein gul ke lakh jigar chaak ho gae

puchhe hai kya wajud o adam ahl-e-shauq ka

aap apni aag ke KHas-o-KHashak ho gae

karne gae the us se taghaful ka hum gila

ki ek hi nigah ki bas KHak ho gae

is rang se uThai kal us ne 'asad' ki nash

dushman bhi jis ko dekh ke ghamnak ho gae

(1439) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rone Se Aur Ishq Mein Bebak Ho Gae In English By Famous Poet Mirza Ghalib. Rone Se Aur Ishq Mein Bebak Ho Gae is written by Mirza Ghalib. Read famous Poem Rone Se Aur Ishq Mein Bebak Ho Gae for youth and Student by Mirza Ghalib. Free Download Rone Se Aur Ishq Mein Bebak Ho Gae in PDF.