Rashk Kahta Hai Ki Us Ka Ghair Se IKHlas Haif
rashk kahta hai ki us ka ghair se iKHlas haif
aql kahti hai ki wo be-mehr kis ka aashna
zarra zarra saghar-e-mai-KHana-e-nai-rang hai
gardish-e-majnun ba-chashmak-ha-e-laila aashna
shauq hai saman-taraaz-e-nazish-e-arbab-e-ajz
zarra sahra-dast-gah o qatra dariya-ashna
main aur ek aafat ka TukDa wo dil-e-wahshi ki hai
aafiyat ka dushman aur aawargi ka aashna
shikwa-sanj-e-rashk-e-ham-digar na rahna chahiye
mera zanu munis aur aaina tera aashna
kohkan naqqash-e-yak-timsal-e-shirin tha 'asad'
sang se sar mar kar howe na paida aashna
KHud-parasti se rahe baham-digar na-ashna
bekasi meri sharik aaina tera aashna
aatish-e-mu-e-dimagh-e-shauq hai tera tapak
warna hum kis ke hain ai dagh-e-tamanna aashna
jauhar-e-aina juz ramz-e-sar-e-mizhgan nahin
aashna ki ham-digar samjhe hai ima aashna
rabt-e-yak-shiraaza-e-wahshat hain ajza-e-bahaar
sabza begana saba aawara gul na-ashna
be-dimaghi shikwa-sanj-e-rashk-e-ham-digar nahin
yar tera jam-e-mai KHamyaza mera aashna
(1780) Peoples Rate This